Matti pe tarapta raha GHAREEB ka LASHA,
Aur mehv- e- tamasha khari RANGERS rahi sari,
Lgta hy k wo majma e Islam nahin tha,
Majmy mn khara koi Musalman nahin tha,
Mujrim hi sahi sahib e Imaan tha aakhir,
kafir b ho to phir b wo insaan tha aakhir,
Arsh e Barin larza hai koi shor bapa hai,
MOULA ki adaalat me kisi Maa ki sada hai,
Ro ro k falak kehta raha ehl e zameen ko,
Ye zulm gavara nahin YASRAB k AMEEN ko,
- Follow Us on Twitter!
- "Join Us on Facebook!
- RSS
Contact