~Aaj Phir Bujh Gaye Jal Jal Ke Umeedo'n Ke Charagh,
~Aaj Phir Taaro'n Bhari Raat Ne Dam Tor Diya,
~Jis Se Afsana-e-hasti Me Tasalsul Tha Kabhi,
~Us Mohabbat Ki Rivayaat Ne Dam Tor Diya,
~Jhilmilate Hue Ashko'n Ki Lari Toot Gayi,
~Jagmagati Hui Barsaat Ne Dam Tor Diya,
~Haye, Aadaab-e-Mohabbat Ke Taqazay, "Aat¡sH"
~Lab Hilay Aur Shikayaat Ne Dam Tor Diya.


0 comments:
Post a Comment